2-line love Shayari in English is a poetic form that captures deep emotions like love, romance, and relationships in just two lines. These couplets are a beautiful way to express your feelings to your beloved, letting them know how much they mean to you. Additionally, this form of Shayari can be a powerful tool to navigate and overcome challenges in your relationship.
In this blog post, we’ve compiled a collection of 2 line love Shayari in English, exploring themes like True Love Shayari, Shayari for girlfriends and boyfriends, the latest love Shayari for 2024, and more.
Best 2 Line Love Shayari In English
That is not my attitude my love
its just my character which you can’t handle.
Yeh na samjho ke hamein tum se mohabbat nahi
Hamein toh aadat hai bas khamosh rehne ki.
Kaash ke kabhi tum samajh jaao meri mohabbat ki inteha ko
Hairaan rah jaoge tum apni khushqismati par.
Usse kehna mujhe bohot mohabbat hai us se
Bas mera naam na batana.
Ap dawlat ke tarazu mein dilon ko tolain
Hum mohabbat se mohabbat ka sila dete hain.
Mere dil mein utar mein tar saku toh shayad yeh jaan lo
Kitni khamosh mohabbat tum se karta hai koi.
Kuch waqt ki rawaani ne humein yun badal diya wafa par
Ab bhi qaa’im hain magar mohabbat chhod di humne.
You are loved, someone out there loves
you more than you think.
Naqab kya chupaye ga shabab e husan ko
nigah e ishaq patthar bhi cheerdeti hai.
If they are fine without you
then be fine without them too.
Ise tum se mohabbat hai ghalt fehmi mein mat rehna
Yeh bas dil ki sharaarat hai ghalt fehmi mein mat rehna.
Tumhein dekh kar woh muskurata hai toh hairat kya
Ise hansne ki aadat hai ghalt fehmi mein mat rehna.
Jazbay suchay hon toh mohabbat mil hee jaati hai
Khuda khud hi sun leta hai khamosh dilon ki al taajiyen.
Bas ek shakhs mere dil ki mohabbat hai
Na us jaisa chahiye na us ke siwa chahiye.
Wo khwabon mein to aana chahta hai
Magar neendain udaana chahta hai.
People with good heart are always unlucky
when it comes to love.
Mere ishq se mili hai tere naam ko yeh shohrat
Tera zikr hi kaha tha meri dastaan se pehle
Kon kehata hai muhabbat ki zubaan hoti hai
yeh haqeeqat toh nigahon se bayan hoti han.
Bohot hi muztarib rehta hai woh har pal zamane mein
Keh jis insaan ka aas se bharosa toot jaata hai.
Lagaaye laakh chehre par koi chehra magar sun le
Bohot din tak nahi rehta mukhota toot jaata hai.
Your love lights up my darkest night
In your arms, everything feels right.
Meri khwahish qabool kar lejiye
Ishq karne ki bhool kar lejiye
Bakhsh dijiye mujhe sabhi kaante
Apne daaman mein phool kar lejiye
Your smile makes me grin from ear to ear
Being with you, there’s nothing to fear.
Kuch waqt ki rawaani ne hamein yun badal diya
wafa par ab bhi qaim hain magar mohabbat chor di hum ny.
Jise maine bachaya zulmaton se
Deya mera bujhana chahta hai.
Use kehna tumhara haal sun kar
Koi aansu bahana chahta hai.
Labon se kuch bhi kehta hi nahi hai
Wo aankhon se jataana chahta hai.
Daal raha hai kaam mein mushkil
Mushkil mein kaam aane wala.
Di thi tasalli yeh kis dil se
Chup na hua chalane wala.
Khwaab ke parde mein aata hai
Sota paake jagane wala.
Ek din parda khud ulte ga,
Chhip chhip ke tarsane wala
Aaine ko na dijiye tohmat
Saaf chehre ki dhoool kar lejiye.
Aapko koi kya haraayega
Apne pakhtah asool kar lejiye.
Ajeeb shakhs tha khinch kar salib
Waqt pe woh humein ujale gaya, laut kar nahin aaya.
Kata woh sheher se phir jab teri gali se kata
Shikastah haal gaya, laut kar nahin aaya.
Nigahon mein iqraar saare hue hain
Hum un ke hue, woh humare hue hain.
Jin aankhon mein aansu chhakare hue hain
Hum un ki nigahon ke maare hue hain.
Na khatkein kaho kis tarah teer-e-mizgaan
Jigar par humare utaare hue hain.
Jhade jo teri kafsh zarre ke zare
Falak par woh ja kar syare hue hain.
Abath jaan deti hai bulbul gulon par
Yeh us rukh ke sadqe utaare hue hain.
Kis andaaz se band mahram kisay hain
Ke juban ko un ke abhaare hue hain.
Tu mile ya na mile mere muqaddar ki baat hai
Sukoon bohot milta ha tumhein apna soch kar.
Aankh se dil mein aane wala
Dil se nahi ab jaane wala.
Ghar ko phoonk ke jaane wala
Phir ke nahi hai aanay wala.
Dost to hai naadan hai lekin
Be samjhay samjhanay wala.
Aansu ponch ke hans deta hai
Aag mein aag lagane wala.
Hai jo koi to dhyana uska,
Aanay wala jaane wala.
Husn ki basti mein hai yaaro
Koi tars bhi khane wala.
Daal raha hai kaam mein mushkil
Mushkil mein kaam aane wala.
Di thi tasalli yeh kis dil se
Chup na hua chalane wala.
Pehle pyaar karta hai phir iqraar karta hai
Mohabbat bhi imsaan ek baar karta hai.
Kis khushi ki talab nahi dil mein
Dard kuch be sabab nahi dil mein.
Aap ka intezar hai phir bhi
Bekali goh ke ab nahi dil mein.
Gham dooran ka ho hara warna
Aap ki yaad kab nahi dil mein.
Jaane kya gul khilaye shaam bahaar
Hasrat zulf o lab nahi dil mein.
Log samjhte hain hamein adat hai muskurane ki
Log kya jaane ye adaa hai gham chhupane ki.
Wo nazar hai saraag mein dil ke
Phool mehke hain daagh mein dil ke.
Hasratoon ki na pooch keifat
Khoon dil hai ayaagh mein dil ke.
Jal bujhi ek ek aas magar
Gul hai roshan charaagh mein dil ke.
Wo jo aaye toh aaye subah bahaar
Ghap andhera hai baagh mein dil ke.
Phir ussi gul badan ki yaad aayi
Phir mehak si hai daagh mein dil ke.
Yun jhalkta hai pyaar in ankhon mein
Chaand jaise ayaagh mein dil ke.
Wada sucha hai ke jhootha mujhe maloom na tha
Kal badal jaaye gi duniya mujhe maloom na tha.
Husn hai mashghala-e-zulm ko gehra parda
Pas-parda hai andhera mujhe maloom na tha.
Ishq woh shay hai ke churake bhi maza dete hain
Warna qaatil hain husn kya mujhe maloom na tha.
Dil ki zidd uss liye rakhi thi ke aa jaaye qaraar
Kal yeh kuch aur kahega mujhe maloom na tha.
Jhooti ummedon ne kiya kiya nah hare baagh lagaye
Waqt jhonka hai hawa ka mujhe maloom na tha.
Ghamon mein dhaal gaya, laut kar nahin aata,
Jo pichle saal gaya, laut kar nahin aaya.
Bichhad gaya hai woh khushiyan samet kar aur gham,
Mujhe sambhaal gaya, laut kar nahin aaya.
Ajeeb tilsam hai uski haseen aankhon mein,
Idhar khayal gaya, laut kar nahin aaya.
Main khud bhi soch mein gum hoon ke tere aane se,
Kidhar milaal gaya, laut kar nahin aaya.
In conclusion, We hope you enjoy the above collection of 2 line love shayari in English. If you have any questions, please do not hesitate to reach out us through the comment box. Also tell us which lines you like the most.